Chaudhvin Ka Chand Ho

 

Chaudhvin Ka Chand Ho



Hmmm hmmmm hmmmmm
Chaudhvin ka chand ho ya aaftab ho
Jo bhi ho tum
Khuda ki qasam, lajawab ho
Chaudhvin ka chand ho

Zulfein hai jaise kandho pe
Badal jhuke hue
Zulfein hai jaise kandho pe
Badal jhuke hue
Aankhe hai jaise maye ke
Pyaale bhare hue
Masti hai jisme pyar ki
Tum woh sharab ho

Chaudhwee ka chand ho ya aftab ho
Jo bhi ho tum
Khuda ki kasam, lajawab ho
Chadhwee ka chand ho

Chehra hai jaise jheel mein
Hasta hua kamal
Chehra hai jaise jheel mein
Hasta hua kamal
Yaa zindagi ke saaz pe
Chedhi hui gazal
Jaane bahaar tum kisi
Shayar ka khwab ho

Chaudhvin ka chand ho ya aaftab ho
Jo bhi ho tum
Khuda ki qasam, lajawab ho
Chaudhvin ka chand ho

Honto pe khelti hai
Tabassum ki bijliyaan
Honto pe khelti hai
Tabassum ki bijliyaan
Sajde tumhaari raah mein
Karti hai kehkasha
Duniya-e-husn o ishq ka
Tum hi shabab ho

Chaudhvin ka chand ho ya aaftab ho
Jo bhi ho tum
Khuda ki qasam, lajawab ho
Chaudhvin ka chand ho

कोई टिप्पणी नहीं

If you have any doubt, please comment